Saturday, April 5, 2008

Wo humse kuch khafa- khafa sa kyun hai

Wo humse kuch khafa- khafa sa kyun hai
har shay to wo hi hai par wo juda -juda sa kyun hai
jate huye is shahar se wo kah gaya tha
laut aaunga ek din
par jab wo lauta to khoya khoya sa kyun hai
ab use yaad nahi rahi gaon ki galiyan
jahan bachpan bitaye the
kadi dhoop me bhi chat pe hans ke guzare the
jo dhoop kal chubhti nahi thi use
aaj wohi chand me bhi jala -jala sa kyun hai
wo humse kuch khafa - khafa sa kyun hai
wo shaam dhalte hi chatth pe jana
wo chand wo taron ko dekhna
meri har baat ko bina samjhe hi sunna
meri hansi pe hansa
aur meri khilkhilahaton pe mukorana aadat thi jiski
aaj wohi har baat pe khafa - khafa sa kyun hai
koi baat to zaroor hogi
uske mann me
warna wo aaj aisa kyun hai ?
ab ke yoon dil ko sazaa di hum ne
uski har baat bhulaa di hum ne

ek ek phool bahot yaad aayaa
shaakhN-e-gul jab woh jalaa di hum ne

aaj tak jis pe woh sharmaate hai
baat woh kab kii bhulaa di hum ne

shahar-e-jahaaN raakh se adaab huwaa
aag jab dil kee buzaa di hum ne

aaj phir yaad bahot aayaa woh
aaj phir usko duaa di hum ne

koii to baat hai usmeN
har khushee jis pe luTaa di hum ne

------------ ---raj--- --------- ---

No comments:

Post a Comment

1