Saturday, April 5, 2008

Toot Jaate hain

************ **
Toot Jaate hain


Toot jaate hain sabhi rishte mager
Dil se dil ka raabta apni jagah
Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen
Tujh se milne ki dua apni jagah

Mast nazron se dekh lenaa tha
Ager tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Chehrey per banawat ka gussa,
Aankhon say chalakta pyaar bhi hai,
Is shauq_e_ada ko kya kahiye
Inkar bhi hai iqraar bhi hai,

Kal mila waqt to zufain suljha doonga
Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main
Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain
Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main

Dil ko manana gar hota aaasaaan
Na karta kisi ko yoon ye pareshaan
Tanha na rahta bhari mehfil main
Na hoti woh halat jo ho na bayaan

Khudaa jab husn deta hai
Nazaakat aaa hee jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
Kamar balkha he jaati hai

No comments:

Post a Comment

1