Saturday, April 5, 2008

Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!

Ladkiya beshak bewafa hoti hain. Bewafa to woh hoti hain jo pehle mohabbat karti hain aur phir kisi aur ke liye humari ulfat ko thukraati hain.

sher

Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!


kaanch ko chahat thi patthar paane ki,
ek pal me phir tut kar bikhar jaane ki,
chahat bus itni thi us deewane ki,
apne tukdo me tasvir uski saajane ki

Teri judaai mein roney ki aadat hogayee
“BEWAFAII KI YEH INTEHA HOGAYEE
ke tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee
paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom
keh bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee

Wafa Ka Naam Na Lo, Wafa Dil Ko Dukaati Hain,
Wafa Ka Naam Lete Hi, Mujhe Ek Bewafa Yaad Aati Hain.

hum jee rahe the unka naam lekar,
vo gujarte the hamara salaam lekar,
ek din vo keh gaye bhula da humko,
humne pucha kaise?
vo chale gaye hath mein jaam dekar

Kabhi Chahoge To Chahat Se Bulayegen Tumein
Dard-e-Dil Hota Hai Kiya Ye Dikhayengen Tumein

Mohabbat Hoti Hai Kia Mohabbat Karke Dekh Lena
Phir Mera Pass Aana khuch Aur Batayengen Tumein

Kabhi Na Aayen Ankhon Main Ansu Tu Asia Kerna
Ek Sham Mere Pass Aana Bht Rulayengen Tumein

Her Pal Raho Ge Bechain Mohabbat Main
Khayal Banker Pal Pal Satayengen Tumein

Puchte Ho Jo Zinda Rehne Ka Sabab
Chalo kisi roz zindagi se milwainge tumhe,

Log kahtey hain ki ladkiyan zindagi hoti hain maut nahi,
Magar voh kya jane ki dhoka bhi zindagi deti hai maut nahi

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega

Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
————————————–

Din jo guzar gaye hai yunhi
Raat bhi dhal gayi hai yunhi
Koshish tho bahut ki dil ne
Zuban pe baat rah gaye yun
————————————–

chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega
————————————–

Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
————————————–

e kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main
ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein.
————————————–

Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya


------------ ------raj- --------- --------

No comments:

Post a Comment

1