Saturday, April 5, 2008

Pather bana diya mujhe

Pather bana diya mujhe roone bhi nahin diya.
damaan bhi tere gaam ne bhigoone nahin diya.
tanhaiyaan tumhara pata pochti rahin.
raat bher tumari yaad ne sone nahin diya.
ankhoon main aa ke beth gayi ashkoon ki leher.
palkoon pe koi khawaab pirone nahin diya.
dil ko tumare naam ke ansoo aziz the.
dunia ko koi dard samone nahin diya.
NASIRF yun us ki yaad chali hath thamm ke.
mele main is jahaan ke khone bhi nahin diya.


Jaa Rahe Hoo Phir Se Mujhe Rula Rahe Hoo
Sapne Deekha K Deep Bujha Rahe Hooo
Kion Suna Rahe Hoo Aur Ab Kion Tarpa Rahe Hoo
Humari Zindagi Le Ke Kahan Jaa Rahe Hoo

Bata To Doo K Humien Chorh Kar Konsa Sagar Pa Rahe Ho
Sagar To Hi Hai Meri Zindagi Bhii
Ab Kisko Sagar Bana Rahe Hooo

Na Jao Kahien Ke Ab To Hai Andaz E Ravan Aur
Kion Itne Kadam Door Jaa Rahe Hoooo

Pass Ana Hai Mushkil Gar Tera
Mujhe Phir Kion Nahi Bula Rahe Hoo

Mien Pass Ana Chata Hoon Tere
Mujhe Kion Doori Ka Ehsas Dila Rahe Hoo
Kion Door Jaa Rahe Hoo
Kion Muskura Rahe Hoo

Kiya Khush Hoo Tum Bhi Ya Meri Tarah Ansoon Baha Rahe Ho
Dil Mien Kiya Hai Tere Yeh Janta Hoon Mien Bhi

Par Lagta Hai K Tum Bhi Meri Trah Kuch Chupa Rahe Ho
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chor Ke Ja Rahe Ho
Kion Ajj Mujhe Is Gham Mien Ab Aur Tarpa Rahe Ho
Ajana Jaldi Se ,K Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin
Humien To Tum Udass Karke Ja Rahe Hoo
Pyar To Hai Magar ,Is Pyar Mien Tarpa Rahe Ho

~~~ raj~~~

No comments:

Post a Comment

1