Friday, March 19, 2010

Adalat mere husn ki hogi

Adalat mere husn ki hogi
Mukadama tera ishq hoga

Gawahi mere dil ki hogi
Mujarim tera pyar hoga

Wakalat kareingi nigahein
Juban per pahredar hoga

Chahtein sunegi mukadama
Iradon ka na shumar hoga

Husn ki aag hi baat hogi
Pyar ki raah ka karar hoga

Husn jab ada dikhayega
Soch tab kya yaar hoga

Husn ko maan ki shaan hai
Pyar ka uspar na adhikar hoga

Adalat bhi samjh na paye kabhi
Ishq ki aag me bus gubar hoga.

No comments:

Post a Comment

1