Saturday, June 7, 2008

nakam muhabbat ka har eik dukh sehna..


nakam muhabbat ka har eik dukh sehna..
har haal main anjam se darte rehna
Qudrat ka barra imtehaan hai ye bhi...
mehbooba ki olad ka "mamu" kehna !

 
Itnay dino se jalanay nahi aya
Jalti hui aag ko bujhanay nahi aya
Kehta tha saath jeyen gey saath marain gay

Ab rooth gai hoon to ullu ka pattha mananay bhi nahi aya.
 

Utha kar phool ki patti, nazaakat se masal daali
Eshaarey se kaha.... Hum dil ka "Aisa" haal kartey hain

Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift + Delete kar doonga
 

hireh reh kar mujh ko ek hi khayal ata hay
woh kambukht na janay kon say sabun say nahata hay
 
Wo larayeee hi kya JISME DO CHAAR Gaaliyan na ho .....
ARE Wo SASURAAL HI kya jahan saaleee na ho!!

 
Sapne ki tarah tuje saja k rakhon,
Chandini raat ki nazron se chupa k rakhon,
Meri taqdeer mere sath nahi Warna
Zindagi bhar Tujy "MURGA" bana k rakhon

 
kya hua jo usne racha li mehndi
Hum bhi ab sehra sajayenge,
Mujhe pata tha ke wo apne nasib Mein nahi
ab uski chhoti behan ko patayenge.

 
or bhi chizain lut chuki hain dil ke sath
yeh batayen doston ne ishq farmane ke baad
is liye kamre ki eik eik chiz check karta hoon main
" eik tere ane se pehle eik tere jane ke baad

 
Hum ko gali mein deakh ker khudh ko chupa liya.
Yeh dushmano ny kia us ko kia sikha diya.
Ghar jo us ny banaya Masjid ky samnay.
Chahat ny us ki hum ko namazi bana diya.

 

JAB DEKHA UNHON NE TIRCHI NIGAHON SE
TAB HUM MADHOOSH HOGYE....
PAR JAB PATA CHALA K NAZAREIN HI TEERHI HEIN
TOW HUM BE HOOSH HO GAYE........


 
Meri prem kahani ka kya ajeeb ending tha
Meri prem kahani ka kya ajeeb ending tha
Ezhar-e-mohabbat kiya tha maine sms se
jo unki shadi tak Pending tha


Raat Kehte hai zulfoo ko teri
Raat Kehte hai zulfoo ko teri
Raat Kehte hai zulfoo ko teri
Sar Mundwaye to sawera ho jaye

--
........raj.........

No comments:

Post a Comment

1