Saturday, June 7, 2008

Aye Dil Ye Tu Ne Kaisa Rog Liya

Aye Dil Ye Tu Ne Kaisa Rog Liya
Maine Apno Ko Bhula Key
Eik Ghair Ko Apna Man Liya!!!!
 
Har ek ka dil bahelaya,
Na mera hi dil bahelana aaya muje
Shabe gum mein bhi hasata raha,
Kaya karu, Fir bhi na rona aaya muje...
 
Machal Machal kar arman mere khud hi dafan ho jate hai,
Jis dhage ki mai janib hun,Are, Vo dhage hi kafan ho jate hai!!!
 
Mita de apni Husti ko Agar doh Martba Chahe.....
Ke Dana Khak may Milkar Gul-e-gulzar hota hay.
 
Pata nahi tha ki shayiri mein itna dum hein
Pata nahi tha ki shayiri mein itna dum hein,
har dil mein kahi chuppa hua gum hein
 
Rakibo ke sir galat ilzame bevafai hai,
Gairo ne to sirf  hava di hai, Aag apano ne lagayi hai!!!
 
Pyaar toh kiya mainey bahut,
magar izhaar na karna aaya ...
usney poocha toh mujhsey bahut,
magar ikraar na karna ayaa...
 
husn-o-jawani ho to har aik ko gharoor aata hai
tere bahar adaoon ko dekh kar hamain saroor aata hai
tujeh bahar kaha to iss leye kay har mosaam
shajar se rooth bhi jaye to lot kar zaroor aata hai.
Us falak ke teer ka kya nishana tha
Jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha
Bas pahunch hi rahi thi kashti saahil pe
Is toofan ko bhi abhi hi aana tha...
 
Sir se chaddar, badan se hava le gayi,
Zindagi hum fakiro se kaya le gayi,
Meri muththi mein to kuch sukhe hue phool hai,
Khushbo ko udakar hava le gayi,
Maien samandar ke sine mein chala gaya,
Raat ek mauj aayi Usen baha le gayi,
Chand ne raat ko Jagakar kaha,
Kssi ladake ne tumhari ashaqui le gayi...
 
Aap gairon ki baat karte ho
Aap gairon ki baat karte ho
Humne apnoko azmaya hai
Log katonse bachke chalte hain
Log katonse bachke chalte hain
Humne phoolon se zakham khaye hain.
 
aanken band kar bhi hum tera deedar karte hain
aee sanam hum to sirf tum se pyar karte hain.
lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta
saans rahte,teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta.
aakhiri pal tak oo bewafaa , tujehe yaad karta hoon
teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.
Khhoob gaye pardes ke apne, deewaaro dar bhool gaye,
sheesh mahal me aisa bhi kya, mitti ke ghar bhool gaye ...
 
mere ashqon ka har qatra,
tere mohabbat ki nishani hai,
jo tu samjhe to moti (pearl) hai,
tu na samjhe to paani hai..!!
 
youn to koi tanha nahi hota,
chaah kar bhi koi juda nahi hota,
mohabbat ko to majbooriyaN hi le doobti hai,
warna khushi se koi bewafa nahi hota!!
 
mera har iqraar, tere har inkaar se achha hoga.
mera har din, teri har raat se acha hoga.
yaqeeN nA aaye, to apni doli se jhaaNk lena.
meri maiyat ka janaaza, teri doli se achha hoga!!!


--
........raj.........

No comments:

Post a Comment

1