Tuesday, June 17, 2008

aaj fir girl friend se maar khaayi hai

Aasmaan mein kaali ghata chaaiyi hai,
aaj fir girl friend se maar khaayi hai
kahti hai ki sudhar jao,
magar meri galti nahi hai doston
barabar waali ladki aaj mini skirt mein aayi hai.

Aasmaan mein kaali ghata chaayi hai...

usko dekh meri haalat chakrayi hai,
dil mein baat karne ki khwahish aayi hai.
par aaj kismat ne bhi tangdi khayi hai
aaj meri gf mere saath mein market aayi hai.

Aasmaan mein kaali ghata chaayi hai...

saare armanoo ki hui aaj vidai hai
arre bhai maine uske saamne maar khaayi hai
sharam ne mooh par laali lagayi hai
par dil hai ki maanta nahi
chupke se karta mooh dikhai hai.

Aasmaan mein kaali ghata chaayi hai...
aaj fir girl friend se maar khaayi hai...


Share files, take polls, and make new friends - all under one roof. Click here.

No comments:

Post a Comment

1