Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hain magar maut paas nahi aati,
Bahut udas hain hum is zindagi se,
Unki yaadein bhi to tadpane se baaz nahi aati.
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Mohabbat kar ke dekhi to,
Mohabbat ko pehchana hai
Wafa bus naam ki hai,
Be-wafaai ka fasana hai
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Koi dhun mohabbat ki bajne lagi,
Wo aaye to mehphil ye sajne lagi,
Socha na tha mere dilne khabi
Yuin acha lagega koi ajanbee,
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Kismat par aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch mazboorian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai.
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh chahte hain bas itna,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh chahte hain bas itna,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Bhigi palko ke sang muskurate hain hum
Pal pal dil ko behlate hain hum..
Tu dur hain humse to kya hua
Har saans me teri aahat paate hain hum?
~~~~~~~~~~~~ ~~~~
Kisi ne hume aashiq kaha,
Kisi ne hume diwana kaha....
In aankhon me aansu tab aaye,
Jab apno ne hume begana kaha....
~~~~~raj~~ ~~~~
No comments:
Post a Comment