Wednesday, June 9, 2010

'Arz-e-niyaaz- e-ishq ke qaabil naheeN raha

'Arz-e-niyaaz- e-ishq ke qaabil naheeN raha
Jis dil pe naaz tha mujhe WO dil naheeN raha

Jaata hooN daaGH-e-hasarat- e-hastee liye hue
HooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha

Marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
Shaayaan-e-dast- o-baazu-e- qaatil naheeN rahaa

Bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_ baaz hai
YaaN imtiaz-e-naakis- o-qaamil naheeN rahaa

Waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab- e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha

Go maiN raha, rahee Na sitam haaye rozgaar
Lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha

Dil se hawa-e-kisht- e-wafa miT gayee ki waaN
Haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha

Bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Annu'
Jis dil pe naaz tha mujhe WO dil naheeN raha

No comments:

Post a Comment

1