Koi miltaa hi nahin humse hamara ban kar,
Tum mile bhi to bohut duur kinara ban kar,
Har aik ummid nigahon se chhalak jaati hai,
Unka har lafz aankhon se sharara ban kar,
Aur sab toot gayin cheezen khilono ki tarha,
Ek yaaqin saath mein rehta hai sahara ban kar,
Tum rahoge is chhoti si zameen tak mehdud,
Hum to chamkeinge aik roaz sitaraa bann kar,
" Dard-E-Dil "
Is Zamane Me,Is Mohabbat Me
Kitne Dil Toote,Kitne Ghar Phoonke
Jaane Kyun Log Mohabbat Kiya Karte Hain..
Dil Ke Badle Dard-E-Dil Liya Karte Hain...
Tanhaiye Milti Hai Mehfil Nahi Milti...
Raah-E-Mohabbat Me Kabhi Manzil Nahi Milti..
Dil Toot Jaata Hain, Nakaam Hota Hai ...
Ulfat Me Yahi Logoun Ka Anjaam Hota hai...
Koi Kya Jaane Kyun ye Parwane...
Kyun Machalte Hain, Gham Me Jalte Hain...
Aaahein Bhar Bhar Ke Deewane Jiya Karte Hain...
Sawan Mein Aankhoun Ko Kitna Rulati Hain...
Furqat Me Jab Dil Ko Kisi Ki Yaad Aati Hai...
Yeh Zindagi Yunhi Barbaad Hoti Hai...
Har Waqt Hontoun Par Koi Faryaad Hoti Hai...
Naa Dawaoun Ka Naam Chalta Hai..
Naa Duaoun Se Kaam Chalta Hai...
Zaher Yeh Phir Bhi Sabhi Kyun Piya Karte Hain....
Jaane kyun Log Mohabbat Kiya Karte Hain........
Mehboob Se Har Gham Mansoob Hota Hai...
Din Raat Ulfat Me Tamasha Khoob Chalta Hai...
Raatoun Se Bhi Lambe Yeh Pyaar Ke Qisse...
Aashiq Sunate Hain
Jafa-E-Yaar Ke Qisse...
BeMurrawat Hai Woh...
BeWafaa Hai Woh...
Uss Sitamgar Ka Apne Dilbar Ka....
Naam Le Lekar Duhai Diya Karte Hain....
Jaane Kyun Log Mohabbat Kiya Karte Hain...
Dil Ke Badle Dard-E-Dil Liya Karte Hain......
No comments:
Post a Comment