Wednesday, March 2, 2011

teri yadoon se kinara kahan hoga

jab talak tu hai
khwabon main khaylon main
terei yadoon se kinara kahan hoga
 
jab talak dhadkan hai
saans hai jehan main
tere pyaar se kinara kaha hoga
 
jab talak maquann na mile
rah-e-gujhar main
jinda rehney ka sahara kahan hoga
 
jab miltey hain do dil
hoti hai kahi judai
ab to bata de milan
hamara tumhara kahan hoga
 
jab talak intezaar hai
in ratjagi aankhon main
bewafai ka teri hisaab kahan hoga
 
doob raha hai koi
tere eaitbaar ke saharey main
saja lena rang-e-hina kisi aur ke naamki
warna mere pyaar ka
rangeen nazara kahan hoga

No comments:

Post a Comment

1