Wednesday, March 2, 2011

ham geet pyar ke gate hen-लव शायरी

ham geet pyar ke gate hen
ham kranti bigul bajate hen
parivartan ke agradoot ham
pani me aag lagate hen

jab jab dharti ka man gira
aur bebas ka iman gira
maryada ka cheer ke daman
bhukhe ka iman gira
tabhi sabda ka tarkas lekar
satta se takrate hen
ham geet pyar ke gate hen

dharm bana manav ka bandhan
swarth hua mathe ka chandan
jaharili pachhua bayaron se
hota he bagiya men krandan
kale megha kajrare ham
jeevan jal barsate hen
ham geet pyar ke gate hen

ham harishchandra hen satyug ke
aur ghatghatwasi ram hen
geeta ka sandesh sunate
hamin swayam ghanshyam hen
manavata hit jahar ko peekar
swayam shanker ban jate hen
ham geet pyar ke gate hen

ham kanton ke meet purane
har aansu se preet he
ramte jogi bahate pani
yahi hamari reet he
mita vishamata ke jangal ko
pyar ka phool khilate hen
ham geet pyar ke gate hen

ham gurukur hen sandipani ke
rankaushal men balram hen
is srasti ke jeevandata
hamin subhah aur sham hen
mita nafrat ke andhere ko
prem ka bhor ugate hen
ham geet pyar ke gate hen
ham geet pyar ke gate hen

jab hans chale bagule ki chal
aur nafrat ke jale masal
bhaichare ko dafnakar
pyar bane bazaru maal
kabira ki bani ban jagko
ham fatkar lagate hen
ham geet pyar ke gate hen

No comments:

Post a Comment

1