Tuesday, March 25, 2008

apki salaamti ki dua karenge

Dosti se aaj zamana sharmaaya hai
Teri chaahat ne kuch aisa ghazab dikhaaya hai
Khuda se kya tujhe maange Kashi
Vo toh aaj khud mujhse aap jaisa dost maangne aaya hai




Door hokar bhi mere paas hai AAP
Meri saanso mein basa ek ehsaas hai AAP
Aap ko yeh ehsaas ho na ho
Par mere liye bohat khaas hai AAP




I hide my tears when I say your name,
But the pain in my heart is same,
Though a smile seems care free,
There is no one who misses you more than me




Saatho aasmano ki sair hum kar aaye
Har ek taare se dosti kar aaye
Ek taara khaas tha jisse hum saath le aaye
Varna aap hi sochiye
Aap is zameen pe kaise aaye



Ae dost tujh pe nichaavar meri har khushi
dua hai meri aaye na koi gham teri raah mein kabhi
milley tumhe tumhara pyar har keemat pe
aankh nam na ho kisi bhi vajah se teri





HUM NE JAB BHI KOI KHUSHI MEHSOOS KI.
HAR KADAM PE AAP KI KAMI MEHSOOS KI.
DOOR REH KAR BHI AAP KI MOHABBAT KAM NA HUI.
YE BAAT HUM NE DIL SE MEHSOOS KI.



Apne dard E DIL ka Humdard Hume hi Paoge,
In tanhayon me saath hume hi paoge,
Door hain tum say to kya huwa,
In dooriyon me sabse kareeb hume hi paoge.



Bina dard ke aansoo bahaaye nahin jate
Bina pyar ke rishte nibhaaye nahin jate
Ae dost ek baat yaad rakhna bina DIL diye
DIL paaye bhi nahin jate



Kabhi dost kahte ho,kabhi dua dete ho.
kabhu bewaqt neend se jagaa dete ho.
par jab bhi hame shayari likhte ho,
zindagi ka ek pal badha dete ho.




Har aahat ehsaas hamara dilaayegi.,
Har hawa khushbu hamari laayegi.;
Hum dosti aisi nibhaayengey yaara!
Ki hum na honge aur humhari yaad tumhe sataayegi.




Har baar apki salaamti ki dua karenge
teri aarzoo mein apni hasti fanaah karenge
tum chahe daaman bachaalo humse lekin....
hum marte dam tak aapse wafa karenge



Teri dosti ke naam apni zindagi kar di
teri hansi ke nam apni har khushi kar di
tere aane se jeene ki vajah mil gayi hamein ae dost
dua maangi rab se toh rab ne meri umar lambi kardi

No comments:

Post a Comment

1