Saturday, June 7, 2008

fir wahi fasaana afsaana sunaati ho,


fir wahi fasaana afsaana sunaati ho,
dil ke paas hoon keh kar dil jalati ho,
beqaraar hai aatish-e-nazar nazar se milne ko,
to Fir kyon nahi pyaar jataati ho
jabhi dekhti hai mujhe nazre jhuka late wo
khuda ka shukra hai hameiN pehchan to leti woh!
 
dil ki basti bikhar gayi hoti,
ki rooh ke ye zakhm bhar gaye hote,
yeh zindagi to aap ki amaanat thi warna,
hum to kab ke mar gaye hote!!
 
Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai,
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai,
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri,
mujhe shayad tumaari aadat si ho gayee hai.
 
aakhon ki zuban wo samajh nahi pate,
honth hain magar kuch keh nahi pate,
apni bebasi kis tarah kahen,
koi hai jinke bina hum reh nahi paathe.
 
tujhe chahne wale kum na honge,
waqt ke sath shayad hum na honge,
chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena,
lekin teri yaadoN ke haqdar sirf hum hi hoNge
 
mila nahi koi dilbar aisaa,
jo hamse dil lagaataa,
hum to hain diljale aur,
yu hi koi dil nahi jalaataa.
 
Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,
ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai,
Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa,
aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai
 
mere jeene ke liye tera armaan hi kaafi hai,
dil ke qalam se likhi ye dastaan hi kafi hai,
teer-e-talwaar ki tujhe kya zaroorate ai nazneen,
qatl karne ke liye teri muskaan hai kafi hai.
 
agar hum na hote to tujhe ghazal kaun kahta,
tere chehre ko kamaal kaun kahta,
yeh to karishma hai mohabbat ka,
warna pathharoN (stones) ko taj mahal kaun kaheta??
 
tujhe chahne wale kum na honge,
waqt ke sath shayad hum na honge,
chahe kisi ko kitna bhi pyaar dena,
lekin teri yaadoN ke haqdar sirf hum hi hoNge
 
roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se,
chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se,
tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai,
aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,
naam ki kya baat karte hoo, log chehre tak bhool jate hain
tum samander ki baat karte hoon, log aankhon main doob jate hain
waada app kar gaye ke aaoge khwab meiN
mare khusi ke neend na ayee to hum kya karen!!
ye kaisaa hai ehsaas, tu hi tu hai dil ke paas,
neend hai ki aati nahin, aur badhti jaati hai pyaas!!!
meri dua hai tu sabse nek seerat ho,
teri tarah tera dil bhi khoobsoorat ho,
dua se pahle mile tujhko jo tu chahe,
ke khud dua ko teri haathon ki zaroorat ho!!
 
chakh liya zaayeka-e-shayari jab se,
lafzon me tarannum si aa gayi hai,
arz-e-zubaan- e-ishq machal hi jati hai
jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai....!!!
 
jee chaahta hai tumse pyari si baat ho,
khaamosh taare aur lambi si raat ho,
phir saari raat tumse hum kahte raheN,
ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho!!
 
wo zindagi hi kya jisme pyar nahi,
wo pyar hi kya jisme yaden nahi,
wo yaden he kya jisme tum nahi,
wo tum hi kya jisme hum nahi.
 
jab bhi main khud ko samjhaooN, tu mera nahi hai,
dil mein koi cheekh uthta hai, nahi aisa nahi hai,
kab utarta hai koi dil mein utar jaane ke baad,
ki is gali ke doosri jaanib koi aur raasta nahi hai.
 
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon,
waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon,
tum paas ho to is raat se ek raat chura loon,
tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.

--
........raj.........

No comments:

Post a Comment

1