Friday, April 16, 2010

Is tarha nahi karte

Is tarha nahi karte, rabta to rakhte hain
thora milne julne ka - silsala to rakhtay hain

manzilain buland hon to, mushkilain bhi aati hain
mushkilon say larne ka - hosla to rakhtay hain

jo tumharay apne hon, tum say piar kartay hon
un ka haal kaisa hai - kuch pata to rakhtay hain

No comments:

Post a Comment

1