Sunday, May 25, 2008

ARZ KIYA HAY



ARZ KIYA HAY

Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Tere dar par sanam hazaar baar aayenge,
Bell bajain ge aur bhaag jayenge !

ARZ KIYA HAY

Aahat si koi aye to lagta hai ki tum ho.
Hawa koi lehrayi to lagta hai ki tum ho.
Ab tum hi batao, kya tum kisi BHOOT se kam ho ?

ARZ KIYA HAY

Maine poocha chand se...
Kabhi dekha hai mere yaar sa hasin.....
Chand bola.... 12036 entries found !

ARZ KIYA HAY

Door se dekha to sangtra tha,
pass jake dekha to sangtra tha,
cheel k dekha to bhi sangtra tha,
Kha ke dekha to bhi sangtra tha.
Wah kya sangtra tha !

ARZ KIYA HAY

Jise dil diya woh dilli chali gayi,
jise pyaar kiya woh chali gayi.
Khud kashi karne chala,
Zalim bijali ko haath lagaya, Bijali he chali gayi.

ARZ KIYA HAY

Ikhtiyarre tabbasum ki lau ko tarranume numayish se aghaa dena...
Jo iska matlab samajh aaye to please mujhe bhi bata dena.....

ARZ KIYA HAY

Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote,
Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote,
chand to tum ho he, sitare bhi saath hote!!

ARZ KIYA HAY

Suraj Hua Madham ,
chand bhi chalne laga,
mein thehra raha, zamin chalne lagi,
sajna kya yehi pyaar hai ??
Nalayak, yeh pyar nahi EARTHQUAKE hai ! BHAAG !


ARZ KIYA HAY

Jab Jab tum angrrai lete ho dam hamara nikal jata hai.
Aye zalim Deodrant lagane me tumhara kya jata hai ?!

ARZ KIYA HAY

Itna khubsurat kaise muskura lete ho..
itna kaatil kaise sharma lete ho..
kitni aasani se JAAN le lete ho..
kisine sikhaya hai ya bachpan se hi stupid ho!!

ARZ KIYA HAY

unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,



........raj.........

No comments:

Post a Comment

1