Sunday, May 4, 2008

AANKH HAI BAND ZUBAAN KHAMOSH HAI

AANKH HAI BAND ZUBAAN KHAMOSH HAI
MAUT KE BAAD AA RAHA HOSH HAI

TERE ROOTH JAANE SE DIL KI KALI MURJHA GAYEE
SAANS TOOT GAYEE , HOSH BEHOSH HAI

PADNE SE FATIHA KABAR PE MERI ABB KAYA HOGA
BULA RAHA HAI ABB JAHAN AUR YEH MITTI KHAMOSH HAI.....
 
 
                              (2)
koi to tha jo mera apna tha,

jis ne jeena sikhaya woh mera apna tha,

dil to bikhar chuka tha toote huy mootion ki tarha

dil ko jis ne sawara woh mera apna tha,

kho chuki thi umeed khushiyan pane ki,

khusiyan jis ne sametien woh mera apna tha,

kehta tha saath doonga saat janmoon ka ,

beech rah mien jo chhor gaya woh mera apna tha,

shikva bus itna hai doston,

jis ne saath chhora woh mera apna tha

********^^^^ ^^^^******** **
Aik Sa MuQadder Hai Aik Sey hain Musafir
Chand Aasman Per Tanha Main Zameen per,

No comments:

Post a Comment

1