तेरे लबों पे अब मेरा नाम ना आएगा
अब नज़र को नज़र का सलाम ना आएगा
अब नज़र को नज़र का सलाम ना आएगा
हुए दुश्मन मेरे, कासिद तेरे शहर के
अब तेरे शहर से कोई पैगाम ना आएगा
बेवफा हुए जाते हैं देखो लफ्ज़ सभी
तेरी बज़्म में अब मेरा कलाम ना आयेगा
मारा है मुझे तेरी बेरुखी ने सितमगर
मगर सर तेरे कोई भी इलज़ाम ना आयेगा
इसे भी बेगानेपन की इन्तहा ही समझो
कि अब तेरे अपनों में मेरा नाम ना आयेगा
है क़ैद इस कदर वो रश्मों के कफस में
वो सामने तो आयेगा मगर सरे-आम ना आयेगा
(राज के द्वारा )
Tere labbon pe ab mera naam na aayega
ab nazar ko nazar ka salaam na aayega
huye dusman mere, qasid tere sehar ke
ab tere sehar se koi paigaam na aayega
bewafa huye jaate hain dekho lafaz sabhi
teri bazam mein ab mera kalaam na aayega
mara hai mujhe teri berukhi ne sitamgar
magar sar tere koii bhii ilzaam na aayega
isay bhii begaanepan ki inteha hii samjho
ki ab tere apnon mein mera naam na aayega
hai qaid is qadar wo rasmon ke qafas mein
wo samne to aayega magar sar-e-aam na aayega

No comments:
Post a Comment