Aaine ko dekh ke mujhe uski soorat yaad aati hai,
dil me basi thi wo tamaam aarzoo yaad aati hai...
ye aaina mujhe chidata hai ya meri tarah pagal hai,
mere kareeb se har baar koi aawaz aati hai....
yun to mile senkdo rahgeer safar-e-jindgani main,
kabhi kabhi kisi ke bichadne se ye ankhe bhar aati hai...
in khwabon ko bhi tanhaiyon ki aadat si ho gayi hai,
is bheed main bhi faqat tanhai nazar aati hai...
vo kahata hai "koi rishta nahi mera tujhse" puchho us se,
fir mujhe kyu satata, kyu mere sapnon me uski parchai nazar aati hai...
shayad ab tak bhoola na saki mein use isi liye,
uski yaadein mujhe rulane ko har lamha chali aati hai...
आईने को देख के मुझे उसकी सूरत याद आती है
दिल में बसी थी वो तमाम आरज़ू याद आती है
ये आइना मुझे चिढाता है या मेरी तरह पागल है
मेरे करीब से हर बार कोई आवाज़ आती है
यूँ तो मिले सैंकड़ो राहगीर सफ़र-ऐ-जिंदगानी में
कभी कभी किसी के बिछड़ने से ये आँख भर आती है
इन ख्वाबों को भी तनहाइयों की आदत सी हो गई है
इस भीड़ में भी फ़क़त तन्हाई नज़र आती है
वो कहता है "कोई रिश्ता नहीं मेरा तुझ से", पूछो उस से
फिर मुझे क्यों सताता, क्यों मेरे सपनो में उसकी परछाई नज़र आती है
शायद अब तक भुला न सकी मै उसे इसी लिए
उसकी यादें मुझे रुलाने को हर लम्हा चली आती हैं
No comments:
Post a Comment