Har din ke baad raaat aati hai
Har musam ke baad barsat aati hai
Apne dil se puch ke batey zara
Kya aapko bhi hamari yaad aati hai
Jab raat ko yaad unki ati hai
Sitaron tasveer unki nazar ati hai
Khozti hai nigahe us pyare khas ko
Yaad mai jiski subah ho jati hai
Intezar rehta hai har saam tera
Ratein kat ti hai lekar naam tera
Muddat se baithe hai yeh aas le kar
Ki aa jaye koi piagam tera
Aaj khuch kami hai tere bagir
Na rang hai na roshni hai tere bagir
Waqt apni raftar se chal raha hai
Bus Dharkan meri thami hai tere bagir
Khuch Beite hue lamho se mulaqat hoi
Khuch toote hue sapno se baat hoi
Yaad aayi jab hame aapki
Tab aankhon boondo ki barsaat hoi
Akela hai dil aur use aati hai kisi ki yaadein
Har pal hum sochte hai unki kahi har baatein
Palko pe saji hai unse har ek mulakaatein
Kyuki unse hi toh milti thi hume sabse hasin saugaatien
Tum pe khtam saari chahat hogi
Phir na kisi pe ye inyat hogi
Kuch is tarah se karenge yaad tum ko
Na tumko shikwa hoga na zamane ko sikayat hogi
Har Raho Se Hum Aapki Raah Ko Saza Denge
Sapno ki daulat ham aap par luta denge
Na koi phool hai aaj mere daman me
Lekin apke aane par ham apni palke bichha denge
Sehmi si nigaho mein khwab hum jaga denge
Soni si raahon pe phool hum khila denge
Humare saath muskura kar to dekhiye
Hum aapke saare gam bhula denge
Ek-ek tara jod teri tasveer banai hai
Koi dekh na le isliye dil me chhipai hai
Dil se tu meri nas-nas me samai hai
Iss liye teri tasveer hum ne dil me basai hai
Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri
mujhe shayad tumaari aadat si ho gayee hai
No comments:
Post a Comment