Rishto ki kitab
Rishto ki kitab ka cover hai Dosti,
Dosti se bani hai hamari Hasti,
Khoon ke rishto ki baat aap karte hai,
Hamare liye to Zindagi hai Aap Ki Dosti
Dosti ki tadap
Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jaata,
Dil me lagi aag ko bujhaya nahi jaata,
Kitni bhi duri ho dosti me,
Aap jaise dost ko bhulaya nahi jaata.
Jasda-e-dost nakam
Jasda-e-dost nakam nahi hone denge!
Aap ki duniya me shaam nahi hone denge!
Dosti ka har imtihan apne sar pe lenge!
Par aye dost,Aapko kabhi pareshan na hone denge!
Dua karte hain
Dua karte hain hum Sarko jhukaye
Ae dost tu apni Manzil ko paye
Agar kabhi tere Raahon mein Andhera aaye
Roshni ke liye khuda hum ko Jalaye
Hasraton ki Nigaaho
Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai
Teri Chaahaton ki Kasam, aye Dost
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai
Aaj Rootha Huwa ik Dost
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aayaAcha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya
Yeh Hamari Kismat
Yeh hamari kismat hai ki aap hame dhost kahete hai
dur hokar bhi yaad karte hai
waqut aane pur hum bhi dikha denge
ke dosti ka hakk kaise ada karte hai
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna
Mushkilo Se Ghabra Ke
Mushkilo se ghabra ke ab jeena nahi chahte,Dur tumse hoke ab rahna nahi chahte,
Yun to dost bahot bane is zindagi mein,
Par tuz jaise dost ko khona nahi chahte
Uss Nazar Se
Khud ko khud ki khabar na lage,Koi accha bhi is kadar na lage
Aap ko dekha hai bas uss nazar se,
Jis nazar se aap ko nazar na lage
No comments:
Post a Comment