Monday, May 3, 2010

आज एक बार सबसे मुस्करा के बात करो

आज एक बार सबसे मुस्करा के बात करो
बिताये हुये पलों को साथ साथ याद करो
क्या पता कल चेहरे को मुस्कुराना
और दिमाग को पुराने पल याद हो ना हो

आज एक बार फ़िर पुरानी बातो मे खो जाओ
आज एक बार फ़िर पुरानी यादो मे डूब जाओ
क्या पता कल ये बाते और ये यादें हो ना हो

आज एक बार मन्दिर हो आओ
पुजा कर के प्रसाद भी चढाओ
क्या पता कल के कलयुग मे
भगवान पर लोगों की श्रद्धा हो ना हो

बारीश मे आज खुब भीगो
झुम झुम के बचपन की तरह नाचो
क्या पता बीते हुये बचपन की तरह
कल ये बारीश भी हो ना हो

आज हर काम खूब दिल लगा कर करो
उसे तय समय से पहले पुरा करो
क्या पता आज की तरह
कल बाजुओं मे ताकत हो ना हो

आज एक बार चैन की नीन्द सो जाओ
आज कोई अच्छा सा सपना भी देखो
क्या पता कल जिन्दगी मे चैन
और आखों मे कोई सपना हो ना हो
Aaj ek baar sab se muskurake baat karo
Bitaye hue palo ko saath saath yaad karo
Kya pata kal chehre ko muskurana
Aur dimag ko purane pal yaad ho na ho
Aaaj ek baar phir purani bato me kho jao
Aaj ek baar phir purani yadon me doob jao
Kya pata kal ye baatein aur ye yaadein ho na ho
Aaj ek baar mandir ho aao
Pooja kar ke parsad bhi chadhao
Kya pata kal ke kalug me
Bhagwan par logo ki shardha ho na ho
Baarish me aaj khub bhigo
Jhum Jhum ke bachpan ki tarah naacho
Kya pata beete hue bachpan ki tarah
Kal ye baarish bhi ho na ho
Aaj har kaam khub dil laga kar karo
Use tay samay se pahle pura karo
Kya pata aaj ki tarah
Kal bajuon me taqat ho na ho
Aaj ek baar chain ki neend so jaao
Aaj koi acha sa sapna bhi dekho
Kya pata kal jindagi me chain
Aur aankho me koi sapna ho na ho

No comments:

Post a Comment

1