Saturday, December 6, 2008

Nazar jab tum se milti hai




Nazar jab tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon
Bas ek dharkan dharakti hai main khud ko bhool jata hoon

Tumhain milne se pehle main bohat banta sanwarta ho Mager jab tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hoon

Main akser sochta rehta hoon kia hai ye sab??? Tu batain mujhe se kerti hai main sab kuch bhool jata hoon

Main apni zaat main khud-dar hoon' khoya sa rehta hoon Mager jab teri chori khanakti hai main khud ko bhool jata hoon

Tu gum hoti hai socho main' main takta he rehta hoon Jo tu pehlo badalti hai main khud ko bhool jata hoon

Main akser kitabo pe tera naam likhta hoon Mager kuch tu jo likhti hai main khud ko bhool jata hoon
 
 
 
raj



No comments:

Post a Comment

1