Saturday, December 20, 2008

GHAZAL

GHAZAL 

 Wo raha dil mein magar dil ko dukhane ke liye
 Ham ko ek shakhs mila chorh kar jane ke liye
  Ham ne unn ko bhi tere hijer mein ro kar kata
Wo jo do din they mile hansne hansane ke liye
 Bojh dhota raha mazdoor jo duniya bhar ka Chaar
kandhe na mile uss ko uthane ke liye
 Dosti ab ke hawaon se bhi rakhi jaey
Ye zaroori hei charaghon ko jalane ke liye
 Chorh kar bachon ki aankhon mein masoom sawal
 Mein chala aaya hoon pardes kamane ke liye 
Ye tasali ye dilase mehez behlawe hein
 Kon jata hei bhala lot kar aane ke liye


Download prohibited? No problem. CHAT from any browser, without download.

No comments:

Post a Comment

1