Tuesday, August 19, 2008

waada app kar gaye ke aaoge khwab meiN

waada app kar gaye ke aaoge khwab meiN
mare khusi ke neend na ayee to hum kya karen!!


Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,
ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai,
Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa,
aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai

Mohabbat tark kee maine garebaan see liya maine
Zamaane ab to khush ho zeher ye bhi pee liya maine

Unhe apna nahi sakta magar itna bhi kya kam hai
Ki kuch muddat haseen khwabon mein khokar jee liya maine

Bus ab to daaman-e-dil chod do bekaar umeedein
Bahut dukh seh liye maine bahut din jee liya maine

No comments:

Post a Comment

1