Tuesday, August 19, 2008

ulfat mein aksar aisa hota hai,

ulfat mein aksar aisa hota hai,
ankhein hasti hai aur dil rota hai,
mante hai hum jinhe manzil
apni humsafar unka koi aur hota hai.

Dard se dosti ho gayi yaaroo
Zindagi bedard ho gayi yaaroo
Kya huwa jo jal gaya aashiyana hamara
Door tak roshni to ho gayi yaaroo…..

Hamne tho umr guzaar-di tanhaai main
seh liye situm teri judaai main
abh-to yeh faryaad hai khudha se
koi aur na tarpe—-teri bewafaai main~

Qadam Qadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya,
Pada Jab Waqt To Apno Ne Sath Chod Diya.
Qasam Khaii Thi In Sitaron Ne, Sath Dene Ki ,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya

Matt puch mere sabar ki inteha kaha tak hai?
tu sitam kar le,teri taqkat jaha tak hai,
wafe ki umeed jinhe hogi,unhe hogi,
humein toh dekhna hai,
tu zalim kaha tak hai?

aaj ki raat mera darde mohabbat sun le,
kap kapaate hue hontho ki shikayat sun le
aaj izhare khayalat ka mouqa de de
ham tere shahar me aaye hai musafir ki tarah

Jan kar bhi tum mujhe jan na paye,
aaj tak tum mujhe pehchan na paye,
khud hi ki hai bewafai hum ne,
ta ki tujh pe koi iljaam na aaye…

Jo dil se karib ho use rusva nahi karte,
Yun apni mohabbat ka tamasha nahi karte,
Khamosh rahenge to ghutan aur badhengi,
apno se koi baat chupaya nahi karte… …….

Meri Chahat ne Use Khushi De di,
Badle Me Usne Mujhe Sirf Khamoshi De di.
Khuda Se Dua Mangi Marne Ki,
Lekin Usne Bi Tadapne Ke Liye Zindagi De di …….

Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi.

Hum agar aapse mil nahi paatay
Esha nahin kay aap humein yaad nahin aate
Mana ka jahaan kay sab rishtey nibahaye nahin jatey
Par jo bas jatay hai dil mein wo bhulaye nahin jatay

Har ek muskuruhat muskan Nahi hoti,
nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti,
aansu gam ke aur khushi ke ek jaise hote hai,
inki pehchan aasan nahi hoti…

Who aate to hain magar tan se nahi,
who bhethe to hain magar man se nahi,
kaun kehta hai ki who pyaar nahi karte,
karte to hain magar humse nahi.

Jinki raahon mein humne bhichai the sitare;
Unse kehte hai harpal aansuon ke sahare;
Ho gaye hai saare shikwe kitne kinare;
Magar phir bhi kyun woh hua na humare!

Mayoos mat hona, yeh aik guna hota hai
Milta vahi hai jo kismat main likha hota hai
Har cheez milhe humain, yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan mein hota hai

Samajh aata nahi humein tera, dil lagane ka sabab …
Muskurane ka sabab, humein rulane ka sabab …
Mere rahoon mein aksar bichhata raha hai phool …

Samajh aata nahi kaante phir bichhane ka sabab …
Marna ka tere gham me irada nahin
Hain ishq magar itna zayada bhi nahin
Ajeeb dastane dastoor hai duniya kai

Jahan har raaj chupana padta hai
Dil mein hazaro zakm rehne par bhi
Chehre se muskuranna padta hai
Hum agar aapse mil nahi paatay

Asa nahin kay aap humein yaad nahin aate
Mana ka jahaan kay sab rishtey nibahaye nahin jatey
Par jo bas jatay hai dil mein wo bhulaye nahin jatay
log laut jate hain aansuon ko dekh kar jai lehren

No comments:

Post a Comment

1