Tuesday, August 19, 2008

Matlabi hein yeh duniya yahan kaun kiska hota hai,

Matlabi hein yeh duniya yahan kaun kiska hota hai,

Dhokha bhi wahi deta hain jis pe bharosa hota hai.




Har shaam kah jaati hai ek kahani ,

har subah le aati hai ek nahi kahani ,

raaste to badalte hai harrdin lekin ,

manzil raha jati hai wahi puraani .



Aandhi aati hain tufaaan chale jaate hain.

Yaadein rah jaati hain insaan chale jaate hain.



Maayusiyon ki dhool se har naksh hai dhundhala tera.

Maine kabhi Ae zindagi dekha nahin chehra tera.

Tu bhi kabhi mehsoos kar kya hai bikharne ki tadap.

Ek roz bazi yun saje sheesha tera pathar mera.



Zindagi se wafa hamne bhi ki hai bahot

par gamon ke siva aur kuch mila bhi to nahi

ek tujhko paakar bahut khush tha main

par saath tera manzil tak mila bhi to nahi.



Lehar aati hai kinare se palat jati hai

yaad aati hai dil mein bas jati hai

dono mein farak itna hi hai lehar bevaqt aati hai

aur yaad har vaqt aati hai

No comments:

Post a Comment

1