Tuesday, August 19, 2008

Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,

Masoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,
Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,

Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai,

Uss paar utarne ki ummeed bahot kam hai,
Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai,

Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai,

Bholi si adaa, koi phir ishq ki zidd par hai,
Fir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai।

Tadapte the jo humse milne ko kabhi,
Jaane kyu wo aaj hamare naam se bhi katraate hai!
Hum bhi wahi hai, dil bhi wahi hai,
Phir kyu jaane log badal jaate hai!
andaaz apne dekhte hain aaine mein woh...
aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho....

Hasraton ki Nigaaho pe sakht Pehra hai...
Na Jaane Kis Ummid pe yeh Dil tehra hai...
Teri Chaahaton ki Kasam, Ey Dost...
Apni Dosti ka Rishta Pyaar Se bhi Gehra hai...

No comments:

Post a Comment

1