Friday, May 22, 2009

zindagi ki hatheli par,

zindagi ki hatheli par,
aadhi tirchi lakeere hai,
jin me khud ko khojta hu,
me sochta hu,
kaash yeh lakeer,
yaha say hokar,
kuch is tarha se guzarti,
to shayad,
zindagi ka maina kuch alag sa hota

in lakeero me jo alfaaz chupe hai
unhe dhoondte dhoondte ,
ek umar guzar jaati hai,
alfaaz jodte jodte ek kahani banti hai,
dhoondli dhoondli si eek tasweer ubharti hai,
me dhondta hu,
ki iss tasweer me,
shayad kahi,
koi apna nazar aa jaye ..

ek kashish hai in lakeero me,
jo waqt ke saath,
badhtii chali jaa rahi hai,
me sochta hu,
ye silsila kaha rukega,


Kabhi nazre milane me zamane beet jate hai
Kabhi nazre churane me zamane beet jate hai
Kisi ne aankh bhi kholi to sone ki nagri me
Kisi ko ghar banane me zamane beet jate hai
Kabhi kali seyah raate hume pal pal ki lagti hai
Kabhi ik pal bitane me zamane beet jate hai
Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko aane me zamane beet jate hai
Ik ik pal me toot jate hai umar bhar ke wo rishte
Wo rishte jo banane me zamane beet jate hai

 


Explore and discover exciting holidays and getaways with Yahoo! India Travel Click here!

No comments:

Post a Comment

1