Gairon KO ghar bulaia nahi jata,
Haal-e-dil sabko sunaia nahi jata......
Shayad tere liye duaa maang saku,
Apne liye to Daman falaia nahi jata.......
Tum ne bhar di jholi meri kanto se,
Sab ke dar pe to jaya nahi jata.....
Dekhne bhar se he sihar uthti hoon,
Zakhm-e- jigar KO sehlaia nahi jata.....
Bhulne KO bhool jaoun khuda KO bhee,
Ik tera hee chhehra bhulaia nahi jata......
Hum me tum me ajeeb hai ye takaluf,
App bulate nahi hum se aaya nahi jata.....
Mat itrao kagaz ke phool bechne walom,
Kiyon ki inse aashiana mehkaiya nahi jata.......
Anwar' kai pathar zakham bhee de jate hai,
Har pathar ke aage SAR jhukaia nahi jata........
Akele to Hum Pehle Bhi Jee Rahe The,
Kyu Tanha-Se Ho Gaye Hai Tere Jane Ke Baad
No comments:
Post a Comment