Aah KO chaahiye ik 'umr asar hone tak
Kaun jeeta hai teree zulf ke SAR hone tak?
Daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_ kaam-e-nahaNg
DekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak
Aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
Dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak?
Ham ne maana ke taGHaful Na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak
Partav-e-khur se hai shabnam KO fana'a ki taaleem
MaiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak
Yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
Shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak
AA, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
Taaqat-e-bedaad- e-intazaar naheeN hai
Dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
Nashsha ba_andaaza-e- KHummaar naheeN hai
Giriya nikaale hai teree bazm se mujh KO
Haay! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai
Hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish- e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai
Dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai
Qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
Waae! Akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai
Toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
Teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai
No comments:
Post a Comment