HUM KHUD BHI JUDAI KA SABAB THE
USS HI KA QASOOR SARA KAB THA
AB AUR KISI KE SATH HAI TO KYA DUKH
PEHLE BHI KOI HUMARA KAB THA.
Meri saanson se tum shikwa karte ho…
Chup chup ke chahat ka sauda karte ho…
Tum hi socho ye kesi majboori hai…
Mujh main reh kar mujh se hi parda karte ho…
HASNE KO MAN KIAA TAU
HAM KHUD PE HANS DIYE
KISMAT HAMAARI MAANI IK
VAYANG HO GAI
NAFRAT HAI APNE AAP SE
KITNI NAA POOCHHIE
APNI TAU RAAT AAINE SE
ZANG HO GAI
KHUSHIYON KE INTZAAR ME
KHADE HI REH GAYE
RASTAA BADAL KHUSHI BHI
GAIRON KE SANG HO GAYI
...na kati hum se shab[raat-night]judaai ki...
kitni hi taaqt aazmaai ki..
mar gye,pr hai bekhabr saiyaad...[shikari]
ab tavqqo [aas-hope]nahi rihaai ki...
dil pe kis wqt kya guzaarti hai
soch lete hain kah nahi sakte
jaise aansu udaas aankho mein
aa to sakte hai beh nahi sakte
Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,
tu meri ankh hai tujhko rulaon kaise,
phool hota to tere dar per saja rehta,
zakhmi hokar teri dehleez per aaon kaise.
Guzarish Humari Wo Maan Na Sake,
Majburi Hamari Wo Jaan Na Sake,
Kehte Hai Marne Ke Baad Bhi Yaad Rakhenge,
Jeete Jee Jo Hame Pehchan Na Sake.
Jalaatey hai hum apne dil ko diye ki tarah,
teri zindagi mein khushiyon ki roshni lane ke liye.
Seh jate hai har chubhan apne pairo taley,
teri raho mein phool bichane ke liye.
Dhalti shaam ka khula ehsaas hai,
mere dil mein teri jagah kuch khas hai,
tu nahi hai ye malum hai mujhe,
par dil ye kehta hai tu yahi aas paas hai......... .
hamne udaasiyon me gujaar di tmaam umar
ab tau dosto ki waffa se bhi dar lagtaa hai
kitnaa snnatta hai is ujade hue ghar men
ab tau hame khud ki parchhai se dar lagtaa hai.
Zaruri Nahi Ki Jeene Ka Sahara Ho,
Jise Chaha Vo Hamara Ho,
Dub Jaye Kashti Hamari Hame Gham Nahi,
Bas Tamanna Hai Ki Dubne Tak Saath Tumhara Ho
laut jati hai duniya gum hamara dekhker,
jaise laut jati hai lahre kinara dekhker,
tu kandha na dena janaje ko mere,
kahi fir jinda na ho jau tera sahara dekhkar.
No comments:
Post a Comment