zindagi ki hatheli par, aadhi tirchi lakeere hai, jin me khud ko khojta hu, me sochta hu, kaash yeh lakeer, yaha say hokar, kuch is tarha se guzarti, to shayad, zindagi ka maina kuch alag sa hota in lakeero me jo alfaaz chupe hai unhe dhoondte dhoondte , ek umar guzar jaati hai, alfaaz jodte jodte ek kahani banti hai, dhoondli dhoondli si eek tasweer ubharti hai, me dhondta hu, ki iss tasweer me, shayad kahi, koi apna nazar aa jaye .. ek kashish hai in lakeero me, jo waqt ke saath, badhtii chali jaa rahi hai, me sochta hu, ye silsila kaha rukega, Kabhi nazre milane me zamane beet jate hai Kabhi nazre churane me zamane beet jate hai Kisi ne aankh bhi kholi to sone ki nagri me Kisi ko ghar banane me zamane beet jate hai Kabhi kali seyah raate hume pal pal ki lagti hai Kabhi ik pal bitane me zamane beet jate hai Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil Kabhi manzil ko aane me zamane beet jate hai Ik ik pal me toot jate hai umar bhar ke wo rishte Wo rishte jo banane me zamane beet jate hai |
Explore and discover exciting holidays and getaways with Yahoo! India Travel Click here!
No comments:
Post a Comment