GHAZAL Wo raha dil mein magar dil ko dukhane ke liye Ham ko ek shakhs mila chorh kar jane ke liye Ham ne unn ko bhi tere hijer mein ro kar kata Wo jo do din they mile hansne hansane ke liye Bojh dhota raha mazdoor jo duniya bhar ka Chaar kandhe na mile uss ko uthane ke liye Dosti ab ke hawaon se bhi rakhi jaey Ye zaroori hei charaghon ko jalane ke liye Chorh kar bachon ki aankhon mein masoom sawal Mein chala aaya hoon pardes kamane ke liye Ye tasali ye dilase mehez behlawe hein Kon jata hei bhala lot kar aane ke liye |
Download prohibited? No problem. CHAT from any browser, without download.
No comments:
Post a Comment