Tuesday, August 19, 2008

pehle roushni ko tarasne wale,

pehle roushni ko tarasne wale,
aaj hain hum shayon se dosti rakhne wale

woh suna chuke hain humein apna faisla,
har sawal ka jawab sawal se dene wale

kyon umeed karke udas karon khud ko,
jhooti ass banaee kwabon mein rehne wale

teri nasseb mein hai sirf sohrat-e-harf,
nahi milenge lafzoon ko mehsoo karne wale

woh laga gaye hain mujh par ilzam kya kya,
rooz fareb, hamesha se ghaat karne wale

koun koun se zakmon ko chupaoon main,
itne gehre hain mere ghaw nahi chupne wale

kya pyar karon ab to nafrat bhi nahi ati,
youn loot gaye mujhe bewafaee karne wale

bech deta hai zamana masihon ko 'Nazeer'
rehbar he the Isa ko saleeb tak pohchane wale

No comments:

Post a Comment

1