Tuesday, August 19, 2008

mohabbat koi phool nahi jo pal bhar me rooth jaye

mohabbat koi phool nahi jo pal bhar me rooth jaye

dosti koi kachcha dhaga nahi jo khichne se toot jaye.



Dua karo her janam mein hum tumse mila kare;

dost na sahi dushman hi hua kare.



Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,

tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,

hai meri dosti mein itna dum,

apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon.



khoye-khoye se rahte ho khayal kiska hai,

ye to bata do intezar kiska hai,

humein bhula do par ye naa bhoolo ki,

nai sadak par purana makaan kiska hai.


Aye dost teri dosti us ghadi tadpaaegi,

Jab zindagi kahegi alvida,Aur maut bhi na aayegi.



Dosti ki tadap ko dikhlaya nahi jaata,

Dil main lagi aag ko bujhaya nahi jaata,

Chahe kitni bhi doori ho dosti main,

Aap jaise dost ko bhulaya nahi jaata.


ZINDAGII ROZ NAYE RANG MEIN DHAL JAATI HAI ,

KABHII DUSHMAN TO KABHI DOST NAZAR AATII HAI,

KABHII CHAA JAYE,BARAS JAYE,GHATA BEIMAUSAM ,

KABHII EK BOOND KO BHII ROOH TARAS JAATII HAI

No comments:

Post a Comment

1